Sambhala hosh
hai jab se,
Muqaddar sakht tar nikla~
~Para hai wasta
jis se,
Wohi teer-o-tabar nikla~
~Sabaq deta raha
jo umar bhar roshan khayali ka~
~Usey jab pas se dekha to khud
b tang nazar nikla~
~Samajh kar
zindagi jis se m0habbat kar rahey the hum~
~Usey jab chhu kar dekha to faqat khaki bashar nikla~
~Mohabat ka khumar utra to tab sabit hua hum par~
~Jise hum umar samjhey they wo bemaqsad safar nikla~
No comments:
Post a Comment