Monday 23 April 2012

sehma sehma dara sa rehta hai jaane kyun ji bhara sa rehta hai ishq main aur kuch nahin hota aadmi baawra sa rehta hai


sehma sehma dara sa rehta hai
jaane kyun ji bhara sa rehta hai

ishq main aur kuch nahin hota
aadmi baawra sa rehta hai

kaai si jam gayi hai aankhoN par
sara manzar hara sa rehta hai

ek pal dekh loon toh uthta hun
jal gaya sab, zara sa rehta hai

chaand jab aasmaan pe aa jaye
aap ka aasraa sa rehta hai

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...