sehma sehma dara sa rehta hai
jaane kyun ji bhara sa rehta hai
ishq main aur kuch nahin hota
aadmi baawra sa rehta hai
kaai si jam gayi hai aankhoN par
sara manzar hara sa rehta hai
ek pal dekh loon toh uthta hun
jal gaya sab, zara sa rehta hai
chaand jab aasmaan pe aa jaye
aap ka aasraa sa rehta hai
No comments:
Post a Comment